Friday 4 March 2011

Faqeer (beggars)

What u think v should give them money or not?????
we usually see alot ov beggars on roads, streets n many other places on daily baises. i would luv 2 share one thing...
         Hazrat Muhammad(saww) ne irshad frmaya jb Allah tala ne zameen takhleeq ki tu wo
         hilnay lagi os ko tehrany k liay pahar (mountain) bna diay farishton ne jb dekha to wo
         bohut heran howay phir unho ne Allah Tala se pocha kya is se b ziada sakht koi cheez
         hai? Allah Tala ne farmaya han loha (Iron) isi tarhan wo pochtay gaye Allah Tala farmaty
         gaye( hawa, pani, aag) unho ne phir pocha in se b ziada ko taqtwer cheez hai? Allah Tala
         ne farmaya Ibn-e-Adam hai jo dayein hath se sadqa krta or bayein hath se chhopata hai.
measz sadka dena bohut afzal amal hai par kya yea sab ko de dena chahiye? yan sirf un ko jo is k mustahik hain?? ajkal bohut se log gurbat ka bahana kr k Gadagiri ko apna pesha bna chukay hain yea pta krna bohut mushkil ho gaya hai k kon in k mustahik hain. mein jb b pcc k samny se guzarti thi tu aik ourat apni goud mein aik bachy ko utha k mangti hoi a jati thi os k mathy pe aik patti bndhi hoti thi jis k nichay se haldi or atty(flour) ka mixture saf nazar ata tha shoro mein pta nai chalta tha par ahista ahista pta chalta gaya mein jb b bachy ko gor se dekhti wo dor chali jati isi tarhan bohut se log hain jo hath paon ko jan bojh k tera kr k mangty hain mein phir b unhein de deti hon is dar se k kahi wo badua na de dein... tell me waht should i do???

No comments:

Post a Comment